Header Ads Widget

Ticker

6/recent/ticker-posts

How To Check Graphics and Video Memory In Windows 10

Dosto aap logo ko bhi apne Ex-Desktop,Pc,Laptop,etc ki graphics memory ko check krna hai to iss post ko jarur end tak follow kijiye. 



Graphics Memory Ko Check Karne Ke Tarikhe
Dosto graphics memory ko check krne ke to kai sare tarikhe hai but apko aaj ke iss tutorial me sabse acche do (two) tarikhe batane wala hu jisase aap log badi jaldi se graphics ko check kr sakate ho,within a minute.agar apne aage diye gaye steps ko follow kiya to aap kbhi bhi aur kisi bhi operating system (OS) ke graphics ko easy se find kr sakate ho.

Download Free Windows 10 All Versions Click Here>>>

Graphics ko kyo check kre
  • Dosto naye bando ko jarur graphic kaise check krte hai pta hona chahiye.jab aap log laptop ya computer kharidne jate ho to us samay apko graphics ko check krna chahiye.naye bando aksar fasaya jata hai new laptop ko ya pc ko kharidate samay.
  • Agar dosto aap log photo editng ke liye photoshop ya video editng ke liye adobe primire pro jaise bade bade software ko use krte samay graphic ki jarurat padate hai,to apko us samay check krna chiaye ki hamari graphics software ko chalane ke liye comfortable hai ya nhi. 
  • Dosto aap log game ke shaukin hai to apko jyada graphic ki jarurat hoti hai bade game ko chalane ke liye. agar aap log apne graphics ko check krte ho to aap log jo game apne graphics ko support hota hai us game ko aap log download kr sakate ho.


    Aise Graphics Ko Check Kre

    1] Pehla Tarika-: Niche diye gaye steps ko step by step follow kijiye aur find kijiye apne graphics card ko.

                                              
     Step-1
    1.   Dosto sabse pehale apne desktop ke screen pe Right-Click kro.
    2.   Aur ek tab khul jayega usmaise apko Display-Setting option select krna hai.
    3.   Us display setting wale option pe click kre ya uspar jake enter press kre.
    4.   Uske bad aur ek naya tab open hoga next step me uski information dekho.

    display
    Display Setting Tab



    Step-2

    1. Ek naya aur alag tarikhe ka Setting ka Tab open hoga.
    2. Us tab me apko bahut sare Setting ke option milenge.
    3. Apko sirf Display wala tab selsect krna hai.
    4. Tab ko select kijiye aur niche ke taraf Scroll Down kijiye.

    graphic


    Step-3
    1. Yaha par niche scroll down karane par apko iss option ko select krna hai.
    2. Select Display Adapter Properties option.
    3. Isko select kro aur open kijiye.

    adapter




    Step-4


    1. Iss tab me apko Display Adapter Properties ko select krna hai.
    2. Aur apke samne Properties ka naya tab ayega.
    3. Aur Usme Graphic memory ki details milenge. ex- Total graphic memory,Total Video Memory aur System Video memory. 
    4. Is tarah all installed graphic ki details apke samne hogi.
    video memory
    All Installed Memory Details

    2] Dusra Tarika-: Niche diye gaye steps ko step by step follow kijiye aur find kijiye apne graphics card ko.


    Step-1
    1. Dosto apne windows ke search bar ko select krke open kre.
    2. Search box ko open krne ke bad apko kuch keyword type krne hai.
    bar

    Step-2
    1. Search box ko open hone ke bad iss ko type kre.
    2. type "Change Display Setting" and search
    3. Later open this Searched option "Change Display Setting"



    Step-3

    1. Ek naya aur alag tarikhe ka Setting ka Tab open hoga.
    2. Us tab me apko bahut sare Setting ke option milenge.
    3. Apko sirf Display wala tab selsect krna hai.
    4. Tab ko select kijiye aur niche ke taraf Scroll Down kijiye
    video

    Step-4
    1. Yaha par niche scroll down karane par apko iss option ko select krna hai.
    2. Select Display Adapter Properties option.
    3. Isko select kro aur open kijiye.
    setting

    Step-5
    1. Iss tab me apko Display Adapter Properties ko select krna hai.
    2. Aur apke samne Properties ka naya tab ayega.
    3. Aur Usme Graphic memory ki details milenge. ex- Total graphic memory,Total Video Memory aur System Video memory. 
    4. >
    5. Is tarah all installed graphic ki details apke samne hogi.
    video memory
    To dosto finally aaj ka Computer Tips ka tutorial complete ho chuka hai,muze ummed hai apne step by step follow krke sikh liya hoga ki kaise check kete hai graphic aur video memory ko computer/laptop mai,to dosto apko aise tutorial chahiye to aap muze follow kr sakate ho.





















    Yorum Gönder

    0 Yorumlar